[b]Her Mohallay May Lagay Hain Shamyanay Haey Haey.....
Ghar May Apnay Kab Bajain Gay Shadyanay Haey Haey....
Ban Gaey Doolhay Hazaron, Apnay Hathon May Palay.....
Hum Magar Ho Jain Gay Younhi Puranay Haey Haey......
Aa Rahi Hain Mehandiyan, Or Ja Rahi Hain Mehandiyan......
Apni Qismat May Nahi Dholak Kay Ganay Haey Haey.....
Jin Pay Thi Apni Nazar, Sari He Doli Charh Gaen.....
Choaknay Thay Bas Hamaray He Nishanay Haey Haey....
Dil Ko Lagti Hai Buri, Daigain Kharaknay Ki Sada.....
Kha Rahay Hain Log Ranga Rang Khanay Haey Haey.....
Jab Kabhi kanon pay paray, Sah Baar Harf-e- Qabool....
Dil Pay Lagtay Hain Hazaron Tazyanay Haey Haey......
Ro rahay Hain Rukhsati Per Hum Bhi Dulhan Ki Tarha.....
Hum Nay Bhi Daikhay Thay Kuch Sapnay Sunhanay Haey Haey.....
Daikhtay Hain Jab Kissi Ki Chand Si Dulhan Ejaz....
Hosh Phir Rahtay Nahi Apnay Thikanay Haey Haey.... :shock: