Amreeca main mein ne do saal guzaare. Khatta meetha tajarbaat ka nichore hazir hai. Jaisey jaisey yaad aata rahey ga pesh karta rahoon ga. Imkaan hai ke aik ya do nishaston mein shayad khatm na ho.

Bhai pramod se khaas tawaajo chahta hoon.


Main amreeca aaya bhaai main amreeca aaya

baitee, do baitay aur joru apne saath mein laya
main amreeca aaya bhai main amreeca aaya

deis bideis ke log yahan par amreekee kelaen

muslim, hindu, sikh, isaayee aur yahoodi aaya
main amreeca aaya bhai main amreeca aaya

bap ke nam se koi na jaane yahan pey auladon ko

kaun hai bap yahan par bhaiya maa ne sirf bataya
main amreeca aaya bhai main amreeca aaya

lambee lamosine mein ghoomey sirf musafir aik

pedal chalne walon ko na kisi ne saath bithaya
main amreeca aaya bhai main amreeca aaya

lambee choree sarkon par hai gareon ka fuqdan

apney mulk mein aisa manzar nazar naa koi aaya
main amreeca aaya bhai main amreeca aaya

larki larka ghoomein hath mein ik doojay ka hath

naa aawaza kasa na koi chakkar ghalat chalaaya
main amreeca aaya bhai main amreeca aaya

kaatney ko hai jaib yahaan bhi har koi tayyaar

samney kato jab kato, qanoon ne hai farmaaya
main amreeca aaya bhai main amreeca aaya

jo bhi cheez kharido tum majboor nahin rakhne ko

wajah bataey bina hi waapas kar saktey ho taya
main amreeca aaya bhai main amreeca aaya

aaj talak ham goree chamree ko hi samjhey meim

ham bhi kaam wohi kartee hain kaali ne samghaya
main amreeca aaya bhai main amreeca aaya

yeh hai bara bedard sadar naa isko koee ehsaas

kitney sharifon ko is bush ne dehshat gard banaya
main amreeca aaya bhai main amreeca aaya

saari umr rahaa amreeca aane ko bey chain

chain jab aaya amrica ne ghar se nikal bhagaya
main amreeca aaya bhai main amreeca aaya

ham ke rahey qanoon ke andar aur hooey badnam

jo bhi raha chup kar uss ne hai nam aur dam kamaya
main amreeca aaya bhai main amreeca aaya

munh kholey bethey hain wakil aur cheley chantey sath

jo bhee kamaaya inn ko khilaaya kuch bhi nahin bachaya
main amreeca aaya bhai main amreeca aaya

sab ko kahein uncle yeh saarey ho wo rishta koi

mamoon chacha phuppa masarh khaloo ho ya taya
main amreeca aaya bhai main amreeca aaya

peeza banaein "domino" par ham ko yeh batlaen

piza hamari pushton mein bhi kisi ne nahin banaya
main amreeca aaya bhai main amreeca aaya

yeh nahin kaam koi izzat ka ye kar lo wo kar lo

apni bhai class ko deko paisa bohat kamaya
main amreeca aaya bhai main amreeca aaya

ghar ki tooti phooti chizein deen mehngey damon mein

aur kahein key khalid bhai koreeon mol lagaaya
main amreeca aaya bhai main amreeca aaya

marketon mein na lejaen lag kahin pata na jaey

bechrey khalid bhai ko kitnaa thook lagaaya
main amreeca aaya bhai main amreeca aaya


jaaree hai.....