Yoon na dekho balimaan neendain uraanay kay liye
bijliyaan gir jayen gi, bijli ka bill jab aaye ga

apni zulfain, apna chehra, apni aankhein dhaanp lo
PIYAZ jab kat jaaye gi to tumhein rona aaye ga

apni zulfain baandh lo, apni kamar ko thaam lo
aaj AATA goondhnay tumhein bulaya jaaye ga

CHITTHI aane se tumhari gher mein ik hangaam hai
ABBA ki shaadi ka mausam ab dobara aaye ga

person aao gi hamaray gher mein DULHAN ban kay tum
meri AMMAAN jaan kehlaana tumhein per jaaye ga