kuch paanay ki hai tamana ...
kuch paanay ki hai tamana, kuch khonay ka hai dur
issi ka naam hai zindagi, yeah bhi such hai mager
tumhari chahut thi hum pa ghani chaoon ki tarah
shaam hotay hi chaoon ka kho jana bhi lazim hai mager
woh rastay hi hum nay badul dala-ey,jin ki munzil thay tum
raaston ka mil jana bhi , ik itefaq hai mager
lakh dushmani sahi, per kabhi tu doost tha woh
doosti kay bharum ko tootna tu hota hai mager
apnay hi faisalon pa abb , puchtatay hain hum
kaim rukhnay kay liya annah ko, puchtana tu hota hai mager
kuch galtiyan hamari , kuch kotahiyan us ki
ilzam lagany ko kissi ka hona to lazim hai mager
sehra main julti rakh ki manind jul gaey hum
kissi ko bhulanay kay liya,khood ko jalana tu parta hai mager
parwana jul jata hai ,shama kay gird chakar lagatay lagatay
shama ka ik din bhujh jana bhi likh diya gaya hai mager
yeah dunya bemani hai , bemani sari khushyan
hakeekat main tu ussi ki taraf lote kar jana hai mager
muhabbat ho doost say , aisa tu hota nahi
doost jo niklay aashik , tu yeah doosti hai mager
char din chalay , yeah bhi koi muhabbat hai
aisi muhabat ka mur jana bhi yakeeni hai mager