Adaab kabool kijiye Muhtrahaam AUR Muhtrma Yeh mera is site main 1 day hai but shayri ki duniya se mera taluq kai salon se jura hua hai ..yeh ek ghazal ap sab ke pesh-o-kidhmat hai inshallah ap sab ki rahe ka intizar rahega....Shukriya....
Haar Jaam Tera Chehraa Mujhe Dikhaata Gaya
Main Peeta Raha,Tera Ghum Mujhe Pilata Gaya...
Chale The Lekar Iraada-e-Mohabbat Ghar Se Lekin,
Phir Fareb-e-Tabassum Hamare Dil Pe Chata Gaya
Paane Chale Aaraam Thoda Hum Maikhane Magar,
Haar Ghut Dil Ke Sholon Ko Aur Sulghaataa Gaya
Uthaayi Thi Botel Tujhko Bhulaane Ke Liye Magar,
Jo Jaam Pyar Se Bana,Woh Teri Yaad Dilata Gaya
Ajaab Sama Guzraa,Madhoshi Ki Halat Main "Payal"
Jo Bhi Husn-e-Chehra Dikha,Hamain Rulaata Gaya
Ghaazab Adaakaari Dikhaayi Tune Bhi Aye "Shahry"
Wah! Wah! Sunta Raha,Aur Apne Ghum Sunata Gaya
Teri Yaad Aaati Rahi,Aur Main Sharaab Peeta Gaya,
Bus Yunh-ii-Tera "Shahry" Zindagi Guzaarta Gaaya......