YAADON SE RISHTA
Yaadoon se rishta kal bhi thaa yaadoon se rishta aaj bhi hai
Dil kal bhi apna dukhta thaa aur afsurdaa sa aaj bhi hai
Woh ishq jo hum tum karte thay woh ishq tu zinda ab bhi hai
Kal tak jo hijar sataata thaa us hijar ka pehra aaj bhi hai
Tum door huye majboori mein hum toot gaye is doori mein
Kabhi waqt mile tu aa jaana dil ka darwaaza khula aaj bhi hai
Woh saahil woh geeli mitti, mitti ke gharonde saahil per
Woh naam darakhtoon per likhna woh khwaab suhaana aaj bhi hai
Tum khush rehna dil ki duniya apni tu chalo barbaad hoi
Dil gham ka maara kal bhi thaa aur gham ka maara aaj bhi hai
Yeh ashk nahin hain aankhoon mein yeh taaray jhilmil karte hain
In aankhoon mein jo kal tak thaa woh chaand sa chehra aaj bhi hai
Ab shikwa kisi se kya karna taqdeer mein jo likha thaa mila
Gham kal bhi mera sarmaaya thaa gham mera warsa aaj bhi hai
TERI YAAD MEIN
Dil ki chokhat pey jo aik deep jala rakha hai
Tere laut aanay ka amkaan saja rakha hai
Saans tak bhi nahin letay hain tujhey sochtay waqt
Hum ney is kaam ko bhi kal pey utha rakha hai
Rooth jatay ho to kuch aur haseen lagtay ho
Hum ne yeh soch key hi tum ko khafa rakha hai
Tum jissey rota hua chor gaye theh aik din
Hum ney us shaam ko seenay se laga rakha hai
Chain lenay nahin detey kissi taur mujhey
Teri yaadon ney jo tofaan uthaa rakha hai
Janay walay ney kaha thah keh wo lautey ga zaroor
Aik issi aas pe derwaza khula rakha hai
Terey janay sey jo aik dhool uthi thi ghum ki
Hum ney us dhool ko aankhon mein basa rakha hai
Mujh ko kul shaam sey woh yaad bohut anay laga
Dil ne muddat sey jo aik shakhs bhula rakha hai
Aakhri baar jo aaya tha merey naam
Mein ney us khat ko dil sey laga rakha h
TERE BAAD
Iss Dil Ne Tere Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki
Had yeh ke Dharakne Ki Jisaarat Bhi Nahi Ki
Tabeer Ka Aeizaaz Hua Hai Ussey Hasil
Jisne Mere Khuaboo'b Mein Shiraakat Bhi Nahi Ki
Ulfat To Bari Baat Hai Humse To Sar-e-Shehar
Logoo'n Ne Kabhi Dhang se Nafrat Bhi Nahi Ki
Aadaab-e-Safar Ab Wo Sikhaate Hain Jinhoo'n Ne
Do Chaar Qadam Tay, Yeh Musaafat Bhi Nahi Ki
Kya Apni Safaayi Mein Bayaan Dete Ke Humne
Na Karda Gunaahi ki Wazaahat Bhi Nahi Ki
Khaamosh Tamashaayi Ki Maanind Sar-e-Bazm
So Zakham Sahey Dil Pe , Shikaayet Bhi Nahi Ki
Iss Ghar Ke Sabhi Log Mujhey Chorney Aaye
Dehleez Talak Uss Ne Yeh Zehmat Bhi Nahi Ki
Ussne Bhi Ghulamoo Ki Safoo'n Mein Humein Rakha
Iss Dil Pe Kabhi Jis Ne Hakoomat Bhi Nahi Ki
Bahut khoob.........................