Search Pakistan Forum:
1 Post = 1 Rupee
Results 1 to 2 of 2

Thread: AaNkhoN Kaa Rang, Baat Kaa Lahjaa Badal Gayaa

              
   
  1. #1
    zeshan is offline Administrator
    Join Date
    Aug 2010
    Posts
    2,798
    Rupees
    0

    AaNkhoN Kaa Rang, Baat Kaa Lahjaa Badal Gayaa

    aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa
    vo shaKhs ek shaam meN kitnaa badal gayaa !

    kuch din to meraa aks rahaa aaiine pe naqsh
    phir yuN hu’aa ke Khud meraa chehraa badal gayaa

    jab apne apne haal pe ham tum na rah sake
    to kyaa hu’aa jo hamse zamaanaa badal gayaa

    qadmoN tale jo ret bichii thii vo chal paRii
    us ne chuRaayaa haath to sehraa badal gayaa

    ko’ii bhii chiiz apnii jagah par nahiiN rahii
    jaate hi ek shaKhs ke, kyaa kyaa badal gayaa !

    ek sar-khushii kii mauj ne kaisaa kiyaa kamaal
    vo be-niyaaz, saare kaa saaraa badal gayaa

    uThTh kar chalaa gayaa ko’ii vaqfe ke darmiyaaN
    pardaa uThThaa to saaraa tamaashaa badal gayaa

    hairat se saare lafz use dekhte rahe
    baatoN meN apnii baat ko kaisaa badal gayaa

    kahne ko ek seh’n meN diivaar hii banii
    ghar kii fizaa, makaaN kaa naqshaa badal gayaa

    shaayed vafaa ke khel se uktaa gayaa thaa vo
    manzil ke paas aa ke jo rastaa badal gayaa

    qaayem kisii bhii haal pe duniyaa nahiiN rahii
    taa’biir kho gayii, kabhii sapnaa badal gayaa

    manzar kaa rang asl meN saayaa thaa rang kaa
    jis ne use jidhar se bhii dekhaa badal gayaa

    andar ke mausamoN kii Khabar us kii ho gayii
    us nau-bahaar-e-naaz kaa chehraa badal gayaa

    aaNkhoN meN jitne ashq the jugnuu se ban gaye
    vo muskuraayaa aur merii duniyaa badal gayaa

    apnii galii meN apnaa hii ghar dhhuNdhtee haiN log
    “Amjad” ye kaun shah’r kaa naqshaa badal gayaa

  2. #2
    asim is offline Senior Member
    Join Date
    Oct 2010
    Posts
    247
    Rupees
    0
    nice one.....!!!

Visitors found this page by searching for:

Nobody landed on this page from a search engine, yet!
SEO Blog

Tags for this Thread

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •