aasmaaN tak jo naalaa pahuuNchaa hai
dil kii gehraa’iioN se niklaa hai
merii nazroN meN hashr bhii kyaa hai
maiN ne un kaa jalaal dekhaa hai
jalva-e-Tuur Khvaab-e-Muusaa hai
kis ne dekhaa hai kis ko dekhaa hai
haaye anjaam us safiine kaa
naa-Khudaa ne jise Duboyaa hai
aah kyaa dil meN ab lahuu bhii nahiiN
aaj ashkoN kaa rang phiikaa hai
jab bhii aaNkheN miliiN un aaNkhoN se
dil ne dil kaa mizaaj puuchaa hai
vo javaanii ke thii hariif-e-tarab
aaj barbaad-e-jaam-o-sehbaa bhii nahiiN
kaun uTh kar chalaa muqaabil se
jis taraf dekhiye andheraa hai
phir merii aaNkh ho gayii namnaak
phir kisii ne mizaaj puuchaa hai
sach to ye hai ke “Majaz” kii duniyaa
husn aur ishq ke sivaa kyaa hai
nice one.....!!!