Her aik baat pe kehtay hoo tm k tu kiya hay,
tmhi kahoo k yeh andazay guftagu kiya hay,
Jala hay jism jaha dil b jal gaya hoo ga,
kuraidtay ho jo ab raakh justuju kiya hay,
Ragoo may doortay phirnay k hm nhi Qaaill,
jab aankh hi se na tapka to phir lahoo kiya hay,
Bana hay SHAH ka msahib phiray hay itraata,
wagerna Sheher may GHALIB ki aabru kiya hay,